Main Yaha Tum Waha - in English
Main hoon yahan sadhaaran likhai mein,
Jo sirf haal-e-dil ko shabd de paate hai
Tum ho wahan asadhaaran tajurbon mein,
Jo mahsoos karne par nishabd kar jaate hain
Main hoon sadak ke is paar jhopde mein,
Jahaan kamare ko hi makaan kahte hain
Tum ho us paar ek mahal mein
Jahaan jhoomron pe bhi heere lage rahte hain
Main hoon kisi Train ke bhare hue dibbe mein baitha,
Jahaan saans nahin le paate hain khwaab saare
Tum ho kisi kuen ke paas
Jahaan sikke uchhaalne pe poore ho jaate hain sapne
Main hoon ek Cubicle mein baitha ,
Jahan par ghadi ke band hone par bhi koi nahin rukta
Tum kisi jhoole pe baithi ho
Jahan waqt sirf badalta hai rang aasmaan ke
Main hoon andhere mein,
Tum ho ujaalon mein
Main hoon sawaalon mein,
Tum ho jawaabon mein
Main hoon har sach mein,
Tum ho har ummid mein
Par, kya sach mein har ummid achchhi hoti hai?
Tajurbe to jang ki bhi vajah ban jaate hain
Aur mahalon mein rishte, deewar se bat'te hain
Sikkon ka nasib bhi palat'ta hai
Aur jo waqt gujar jaye
Wo bas, bas barbaad hi lagta hai
Jo ichchhaayen haqeeqat se nafrat karwaati hai
Sach hone par wo ichchhaayen haqeeqat si choobh jaati hai
Jo paaya hi nahin uske sukoon mein kyon ji rahe ho
Aur jo hai paas us par sawaal kyon utha rahe ho
Ye kaun se kal se humne ummid laga ke rakhi hai ki jiski wajah se humne apne aaj se hi jhagda kar liya hai
Toh isliye jab tum aur main,
Na sahi hai na galat,
Toh hum donon, ek kyon nahin?
– Yahya Bootwala
0 Comments